Samsung Galaxy M30 Phone will be launch on 27 February in India, Specs, Price

Home News Samsung Galaxy M30 Phone will be launch on 27 February in India, Specs, Price
Samsung Galaxy M30 Launch Price In India, Full Specification, Feature Image, photo, picture
Spread the love

Samsung Galaxy M30 Launch Price In India, Full Specification, Feature Image, photo, picture
Image Photo Credit Samsung : Samsung galaxy M30

Samsung Galaxy M30 ko India mein Rs.14999 ki price mein launch kiya ja sakta hai.

New Delhi: South Korea ki company Samsung ne January mein apni Galaxy M series India mein launch ki thi. Eske tahat M10 aur M20 smartphone launch kiye gaye hain. En smartphones ko abhi tak flash sale ke tahat hi upalabdh karayaa jaa rahaa hai.

Users inhen behad pasand kar rahe hain. En dono phones ko launch huye abhi kuchh hi samay hua hai aur ab es series ke 3rd smartphone Samsung Galaxy M30 ke launch ki khabrein saamne aa rahi hain.

News updates ke mutaabik, phone ko febuary yaani esi mahine ki 27 febuary ko launch kiya jayega, jise khud Samsung ne ek teaser jaari karke iski jankari di. Esh phone ki shuruaati price Rs. 15,000 ho sakti hai.

Samsung Mobile India’s Official Tweet

Samsung Galaxy M30 Expected Features & Specifications

Yeh smartphone triple (3) Rear Camera Setup aur 5000 mAh ki battery ke saath launch kiya jaa sakta hai. News ke mutaabik, phone ki bikri march ke pehle week mein Amazon India pr online shuru ki jayegi. Eske alavaa phone mein super amoled infinity o display diya gaya hai.

Vahin dusri taraf, exynos 7904 ya 7905 processor bhi diye jaane ki expectation hai. samsung galaxy m30 phone 4 GB or 6GB RAM or 64GB ROM storage variant ke saath pesh kiya jayeaa. Yahi nhi leaks yeh bhi hai ki es phone ka 6 GB RAm aur 128 GB storage variant bhi launch kiya jaa sakta hai.

Esse pehle bhi ek leak report saamne aayu thi, jismein kaha gaya thaa ki Samsung Galaxy M30 smartphone mein FULL HD+ super amoled display diya ja sakta hai ke sath hi gradiant finish ke saath phone ko utaaraa jayegaa. Ese blue aur black colour variant mein lanch kiya ja sakta hai.

Video Credit: Techbar

Redmi Note 7 VS Samsung Galaxy M30.

Haal hi mein Xiaomi se alag hui Redmi company ne bhi apna pehla 1st smartphone india me launch karne ki date announce kari thi. Redmi Note 7 india me 28 February ko india me damdaar price and specifications ke sath india me launch hoga.

Redmi series ke pehle smartphone Redmi Note 7 ke specifications ki baat kare toh ismein aapko snapdragon 660 ka damdaar processor, dual rear camera jise 48 Megapixel ka btaya ja rha hai.

U notch ke sath gorrila glass 5 ki protection bhi ismein apko milegi or 4000 mAh ki battery capacity. Redmi note 7 ki price ki baat kare toh ye phone India me Rs.11000 ki price range me 3GB or 32GB storage wala variant launch ho sakta hai.

China me bhi is storage Variant ki price Rs. 10,500 hai. Wahi 4GB or 64 GB storage wala variant Rs. 13000 ki price me launch kiya ja sakta hai. Redmi note 7 ki date announce ke baad hi Samsung ne apne Galaxy M30 ki date finally announce kar hi di. Dono hi smartphones company budget segment me aache price and specifications ke sath indian market me apni pakad bnana chahati hai.

Samsung Galaxy M30 Full Specifications

Display – Full HD+ 6.38-inch Super Amoled
Front Camera – 16-megapixel
Rear Camera – 5+5+13 Megapixel Triple Camera Setup
Resolution – 1080×2220 pixels
RAM – 4GB, 6GB
ROM – 64GB, 128GB
Opreting System – Android Oreo (8.1)
Charging – Fast Charging Support
Battery Capacity – 5000 mAh


Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published.